Aimah Umrah

KYA MERA UMRAH QUBOOL HO GAYA?

Jab insaan apne Rab ke ghar ka safar karke wapas lautta hai, to uske dil mein ek hi sawaal uthta hai:

“Ya Allah, kya mera Umrah qubool ho gaya?”

Yeh sawaal sirf zubaan ka nahi, rooh ki gehraiyon se nikalta hai. Aankhon mein aansuon ke saath, dil mein ek kasak rehti hai –

“Kya main waaqai badal gaya hoon? Kya main us manzil tak pohonch gaya jahan Tera karam mujhe dhamp le?”

Iska jawab sirf ek certificate se nahi milta. Iska jawab aapke amal, aapke jazbaat, aur aapki zindagi ke badalte hue raaste se milta hai.


1️⃣ Namaz ki Pabandi – Pehla Nishan

Quran mein farmaya gaya:

“Inna-s-salata tanha ‘anil fahsha’i wal munkar.” “Beshak namaz behayai aur bure kaamon se rokti hai.” – Surah Ankaboot: 45

Aksar safar ki thakaan mein log namaazein ignore kar dete hain, aisa bilkul na karein. Maine ghar pahuchte hi thoda araam kiya, fresh hua, khaana khaaya aur apni saari namaazein poori kari hain.

Agar Umrah ke baad aap har namaz waqt par, khushu aur khuzu ke saath padh rahe ho – to samajh lijiye, Allah ne aapke Umrah ka asar aapke dil par utaar diya hai.

“Aur yehi hai ibadat ka asli saboot — ki aap Allah ke hukum mein sukoon dhoondhne lagein.”


2️⃣ Quran aur Hadith se Mohabbat

Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

“Afdalukum man ta’allama al-Qur’ana wa ‘allamahu.” “Tum mein behtareen wo hai jo Quran seekhe aur doosron ko sikhaye.” – Bukhari

Umrah ke baad agar aapko Quran se lagao ho gaya hai, Hadith padne aur sunnat par chalne ka jazba paida ho gaya hai — To yeh us roohani qubooliyat ka saboot hai.

Main do apps ke zariye Quran aur Hadith ko samajhkar padhta hoon. Aap chahein to join kar sakte hain:

“Ye ilm ka safar band mat kijiye. Har lafz aapke rooh ko roshan karega, in shaa Allah.”


3️⃣ Momin se Mohabbat – Dil ka Tasfiyah

Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya:

“Aap us waqt tak momin nahi ho sakte jab tak apne bhai ke liye wahi pasand na karo jo apne liye karte ho.” – Bukhari & Muslim

Agar aap Umrah ke baad logon se nafrat nahi, mohabbat karne lage ho… dushmani chhodkar sulah dhoondhne lage ho — To samajh jaaiye, Makkah aur Madinah ki mohabbat aapke dil mein sama gayi hai.

“Aasman par wohi roohon ke silsile qubool hote hain jinhon ne zameen par insaaniyat se pyaar seekha ho.”


4️⃣ Amr Bil Maroof wa Nahi Anil Munkar – Ek Aham Fareeza

Allah Ta’ala ne farmaya:

“Tum behtareen ummat ho jo insaniyat ke liye nikali gayi ho – tum nek baaton ka hukm dete ho aur bure kaamon se rokte ho.” – Surah Aal-e-Imran: 110

Kya aap ab society ke buraiyon ke khilaaf khade ho jaate ho? Kya aap logo ko achhai ki taraf bulaate ho?

Agar haan, to yeh bhi qubooliyat ki ek aur nishani hai.

“Jo Allah ke raste mein logon ki nafrat seh jata hai, uske liye sabr ka inaam Allah khud likhta hai.”

Amr Bil Maroof wa Nahi Anil Munkar – ye ummat ka mizaj aur maqsood dono hai.


5️⃣ Imaandaari aur Wafa – Umrah ka Asar Zindagi par

Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

“Jis mein imaandari nahi, us mein imaan nahi.”

Kya aapka rawayya imaandari aur wada nibhane wala ban gaya hai? Kya aap har dealing mein sach bolte ho?

“Jab zubaan sach bolne lage aur dil khauf-e-Khuda mein bheeg jaaye, to samajh lo rooh ko Safa aur Marwa ki hawa lag gayi hai.”


6️⃣ Shukr aur Sabr – Allah ke Qareeb Jaane ka Raasta

Quran mein farmaya gaya:

“Agar tum shukr ada karoge to main aur zyada dunga…” – Surah Ibrahim: 7
“Beshak Allah sabr karne walon ke saath hai.” – Surah Baqarah: 153

Agar aap shikayat se zyada shukr mein jeene lage ho, Aur har musibat mein sabr rakhne lage ho — To yeh dil ki qubooliyat ki sabse gehri nishani hai.

“Umrah ka asar tab dikhai deta hai jab banda har haal mein Allah ki raza mein razamand ho jaaye.”


7️⃣ Hajj ki Tayyari – Ek Sincere Neeyat

Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

“Umrah ke baad wali Umrah dono ke darmiyan ke gunaahon ka kaffara hai, aur Hajj-e-Mabroor ka badla sirf Jannat hai.” – Bukhari & Muslim

Agar aap Umrah ke baad apne agle safar – Hajj ki taraf kashish mehsoos karte ho, To samajh jaaiye Allah ne aapka Umrah qubool kar ke aapko bulawa dena shuru kar diya hai.

“Aur agar aap ke paas itna maal hai jitne mein aap Hajj ka package or Hajj ke duaran hone waala kharch kar sakte hain, to laazmi gaur karein ke aap par Hajj farz hai.”

👉 Hajj Packages – Aimah Tours


❤️ Aakhri Baat – Dil Se Poochhiye

Kya aap wapas aakar wahi purani zindagi mein laut gaye ho, ya aapke andar sab kuch badal gaya hai?

Agar aap badal gaye ho, to samajh lo Allah ne aapka Umrah qubool kar liya hai. Agar aap waise ke waise ho ya zindagi kal se wahi hone wali hai jo pehle thi, to samajh lo ke Umrah to hua, magar uska asar abhi dil tak nahi pohocha.

Lekin Na-Umeedi Haram hai. Dil se dua karo, ro ro ke maango, aur neeyat theek rakkho

“Inna Allaha yuhibbut-tawwabeen.”
“Beshak Allah un logon se mohabbat karta hai jo bar bar tauba karte hain.” – Surah Baqarah: 222


Allah aap sabko khoob saari khushiyan aur deen-duniya ki kamiyabiyan ata farmaye. Allah sabka Umrah qubool kare aur baar baar apne ghar bulaaye, aur Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar ka aham fareeza ada karne ki taufeeq ata kare.

In 16 dino mein agar humse koi kami, koi kotahi, ya kisi ki dilazari hui ho toh hum dil se maafi ke talabgaar hain.

Main bhi dua karunga ke Allah aapko har saal Hajj aur har maheene Umrah naseeb kare — Aimah Tours ke saath.
Ameen ❣️

– Mohammad Amaan
Aimah Tours Private Limited

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Search

Whats in this post?

Need Help?

We understand that planning your Umrah journey can raise many questions.
Let our experts help you with personalized guidance!

Also read these Recent Posts

Read these articles about Umrah Tips and Tricks, Offers, Announcements, Guest Posts and other Inspiring stories

🚨 MUHARRAM UMRAH 2025! 🚨
Muharram marks a new chapter of life - what better way to begin than with Umrah?

July Umrah is almost full