Arshad Ansari – Umrah Cheater

Dosto, Umrah ka safar ek paak aur roohani safar hota hai, jo sirf Allah ki raza ke liye kiya jata hai.
Is safar mein imandari, sachai aur amanatdari sabse ahem hoti hai.
Magar afsos, kuch log Allah ka naam le kar bhi dhokha dete hain, jhoot bolte hain aur doosron ka haq maar kar sochte hain ke wo jannat ke haqdar ban jayenge.
Aaj hum ek aur shakhs ki kahani bayan kar rahe hain jo hamaari nek soch ka ghalat faida utha kar aaj tak hamaare paise dene se katra raha hai.


Kaun Hai Arshad Ansari?

Mohd Arshad Ansari, jo J61, Abul Fazal, South Delhi, Okhla, Delhi ka rehne wala hai, ne hamaare tour operator se Umrah ka package udhaar me book kiya. Jab baat paise dene ki aayi, to pehle bahanay banaye, phir jawab dena band kar diya.

Is shakhs ne Umrah ka safar kiya, lekin pura paisa ada nahi kiya. Jab kuch mahine guzar gaye, to ek naya sach samne aaya jo hamein hairaan kar gaya.


Arshad Ansari Ke Relatives Ne Sachai Khol Di

Arshad Ansari ke Rishtedaaro bhi Aimah Tours se Umrah par gaye the. Unhone Bataya ke Arshad apni maa se poore paise pehle hi le chuka tha!

Magar usne wo paisa hamaare paas jama karne ke bajaye apne paas rakh liya. Arshad ne sirf Rs. 29,400 jama kiye aur baaki Rs. 1,17,600 hazam kar liye.

Jab humne Arshad ki maa se baat ki, to unhone kaha:

🗣️ “Beta, main kya kar sakti hoon? Main to Arshad ko saare paise de chuki hoon!”

To phir Arshad Sahab, aapne yeh paise kahan rakhe? Yeh Umrah ke paise the, jo aapne apni maa se liye aur apne hi pas rakh liye. Kya yeh halal hai? Kya aap samajhte hain ke is tarah Umrah karne se Jannat naseeb hogi?


Arshad Ansari Ki Soch – Umrah Ka Paisa Na De Kar Bhi Jannat Ka Khwab?

Arshad ko lagta hai ke agar wo Umrah ka paisa nahi dega to bhi Jannatul Firdaus me jayega. Lekin shayad usne kabhi Quran aur Hadees me is bare me nahi padha hoga:

1️⃣ Dhokha dhadi aur chori ke khilaf tanbeeh:

  • Quran: “Aye imaan walon! Aapas mein ek dosre ka maal naa-haq na khao,” (Surah An-Nisa 4:29).
  • Hadees: “Jis ne humein dhoka diya, woh hum mein se nahi” (Sahih Muslim, Kitab-ul-Iman, Hadith Number 102).

2️⃣ Amanat aur qarz ki adaigi ki ahmiyat:

  • Quran: “Aur agar koi tum mein se kisi par qarz ka mutalaba kare to usay behtar tareeqe se ada karo” (Surah Al-Baqarah 2:282).
  • Hadees: “Qarz wapas na karne wala qayamat ke din chor ki tarah hoga” (Sahih Bukhari, Kitab-ul-Istiqraz, Hadith Number 2387).

3️⃣ Haram maal se ibaadat qubool na hona:

  • Hadees: “Allah Ta’ala paak hai aur sirf paak cheezein qubool karta hai” (Sahih Muslim, Kitab-uz-Zakat, Hadith Number 1015).

Arshad Sahab, kya aapne socha hai ke Allah ka ghar ja kar bhi agar aapne logon ka haq maara, to aapki ibadat qubool hogi? Yeh paise kisi aur ka haq hai, aur agar aapne isko waapas na kiya to qayamat ke din iska hisaab dena padega.


Arshad Ansari Se Appeal – Sharminda Ho Kar Aaj Hi Paise Chuka Dein!

Arshad Sahab, aapne sirf ek insan ka nahi, balki Allah ka haq maara hai. Jitni der karenge, utni hi ruswayi badhti jayegi. Yeh post aapke liye aakhri notice hai.

📢 Agar aap sach mein Allah aur uske Rasool ﷺ par imaan rakhte hain, to aaj hi apne paise ada karein. Warna duniya aur aakhirat dono me iska nateeja dekhna padega.

Dosto, aap sabse guzarish hai ke Arshad Ansari ko call karein aur message bhejein, taake usko samajh aaye ke Allah ka ghar ja kar dhoka dena sabse bada gunah hai.

Allah sab dekh raha hai. Dair hai, andher nahi!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Search

Whats in this post?

Need Help?

We understand that planning your Umrah journey can raise many questions.
Let our experts help you with personalized guidance!

Also read these Recent Posts

Read these articles about Umrah Tips and Tricks, Offers, Announcements, Guest Posts and other Inspiring stories

🚨 MUHARRAM UMRAH 2025! 🚨
Muharram marks a new chapter of life - what better way to begin than with Umrah?

July Umrah is almost full