Mohammad Kamil – Umrah Cheater
Umrah ek aisi ibaadat hai jo sirf Allah ki raza ke liye ki jaati hai. Magar afsos, kuch log is paak safar ko bhi dhoke ka zariya bana lete hain. Aaj hum ek aise shakhs ka sach saamne la rahe hain jo Aimah Tours ke saath dhoka karke Umrah kar aaye, lekin aaj tak apni zimmedaari poori nahi ki.
Kaun Hai Mohammad Kamil?
Mohammad Kamil ne pehli baar December 2023 ke pehle hafte me Aimah Tours ke tour operator se rabta kiya. Unhone kaha ke woh apne waliden aur aunty ke liye Umrah ka irada rakhte hain. Jab hamaare taraf se total amount bataya gaya (Rs. 2,29,317/- for 3 pax), to unhone bharosa dikhane se inkaar kiya aur kaha ke kisi bhi travel agency par yaqeen nahi hai kyunki market me fraud bohot zyada hain.
Hamaare operator ne inki baat samjhi, bharosa jeetne ki koshish ki aur bina advance ke inka visa issue kar diya taake inke dil se shak nikal jaye. Phir Mohammad Kamil ne apne walid Ameer Hasan ko hamaare office bheja, jo 20 December 2023 ko aaye. Unhone har cheez dekhi, tasalli ki aur tab Rs. 60,000 pay kiye online.
Uske baad, 26 December 2023 ko Mohammad Kamil ne Rs. 50,000 bheje aur 28 December 2023 ko Rs. 60,000 aur bheje. Unhone wada kiya ke airport par kuch amount denge aur baqi paisa March 2024 tak clear karenge.
Mohammad Kamil Ne Umrah Kiya, Par Paise Nahi Diye
Umrah ke dauraan, Mohammad Kamil apne waliden se milne aaye. Hamaare buffet food khaye, hamaare hotel rooms me rahe, hamaare sath Umrah aur Ziyarah ki, magar Umrah land package nahi liya. Har waqt apni financial issues ka zikr karte rahe, magar apni aur apne ghar walon ki Umrah free me karwa di.
13 January 2024 ko Mohammad Kamil ne apne waliden ki return flight prepone karne ko kaha, hamaare taraf se turant naye tickets book kar diye jo Rs. 18,760/- ke the.
Mohammad Kamil Ka Wada Khilafi Aur Badtameez Rawaiyya
Date | Amount (Rs.) | Payment Method | UTR Ref Number |
---|---|---|---|
20 Dec 2023 | 60,000 | Online | 335414783199 |
26 Dec 2023 | 50,000 | Online | 336005729927 |
28 Dec 2023 | 60,000 | Online | 336284195113 |
17 Jan 2024 | 1,500 | Cash (Phuppo) | Cash in Hand |
25 May 2024 | 10,000 | Online | 414654411769 |
Total Invoice: Rs. 2,29,317/-
Paid Amount: Rs. 1,81,500/-
Pending Invoice Amount: Rs. 47,817/-
Additional Ticket Cost: Rs. 18,760/-
Total Pending Amount: Rs. 66,577/-
Mohammad Kamil Ke Fraudi Harkatein
- Kabhi fake payment screenshot bhejte hain
- Kabhi bolte hain sab paisa de chuke hain, kuch baaki nahi
- Kabhi ulta dhamki dete hain aur badtameezi se baat karte hain
- Jab bhi payment ka demand kiya jaye, ignore karna shuru kar dete hain
- Saudi Arabia me acha job kar rahe hain, nayi gaadiyan aur bike khareed rahe hain, magar apni Umrah ki payment nahi kar rahe
Public Se Appeal – Mohammad Kamil Ko Yaad Dilayein!
Hamaari aap sabse guzarish hai ke Mohammad Kamil ko call aur message karein aur unhe yaad dilayein ke Umrah Allah ka maqbool safar hai, isme dhoka nahi hona chahiye. Woh paisa dene me dair kar rahe hain, magar unke paas paisa hai. Aap sab ispar awaz uthayein taake woh hamaara haq wapas karein.
📞 Mohammad Kamil: +9188649232**
📞 Ameer Hasan (Father): +9195282820**
📞 Kherunisha (Mother): +9163986181**
📞 Rahisha Begam (Aunty): +9199278840**
Mohammad Kamil Sahab, agar aap Musalman hain, to apni zimmedaari poori karein! Allah ka ghar aapko bula raha tha, aur aapne waha bhi dhoka diya. Ab bhi waqt hai, apni ghalti ka azaala karein aur hamaara haq wapas karein.
Fake Payment Screenshots Ka Bhi Sahara Liya
Kamil ko jab yeh blog mila toh usne hame payment karne ke liye bola, bahut zyada din tak rok kar rakha, phir 10th March 2025 ko ek Fake Payment Screenshot diya jiska reference number 336005729927 tha. 24 ghante intezaar karne ke baad bhi payment nahi mila. Jab verify kiya gaya toh yeh December 2023 ka purana payment screenshot nikla jo thodi bahut editing ki gayi thi!
Legal Action
Aimah Tours ab Mohammad Kamil ke against legal action lene ke liye tayar hai. Is blog ke zariye hum sabko aware karna chahte hain taake aage koi aur is tarah dhoka na de sake.
Allah sab kuch dekh raha hai. Dair hai, andher nahi!
Update:
Kamil ko jab yeh blog mila toh usne hame payment karne ke liye bola, bahut zyada din tak rok kar rakha, phir 10th March 2025 ko ek Fake Payment Screenshot diya jiska reference number 336005729927 tha.
24 ghante intezaar karne ke baad bhi payment nahi to dekha yeh wo payment ka screenshot hai jo usne december 2023 ko ki thi bas thodi bahut sasti waali editing thi jisso wo pakda gaya.
