Moinuddin Saifi – Ek Aur Dhoke Ki Kahani
Dosto, Umrah ek aisi ibadat hai jo sirf aur sirf Allah ki raza ke liye ki jati hai.
Ye ek paak safar hai jisme imandari aur sachai sabse zaroori hoti hai.
Magar afsos, kuch log apni gareebi ka rona rokar dusron ke bharose ka ghalat faida uthate hain.
Aaj hamaare saamne ek aur shakhs ka sach hai jo Aimah Tours ke bharose ka be-dardi se mazak udaya aur aaj tak apni zimmedaari se bhaag raha hai.
Kaun Hai Moinuddin Saifi?
Moinuddin Saifi, jo J-64/A, Abul Fazal, Jamia Nagar, Okhla, Delhi ka rehne wala hai, ne hamaare tour operator se Ramadan ke mahine me Umrah ke liye booking ki. Usne sirf Rs. 2,700 jama kiye aur bohot yakeen dilaya ke baqi paisa jaldi hi chuka dega, kaafi mana karne ke baad usne Rs. 10,700 or diye . 17 April 2024 ko usne Umrah kiya, magar aaj tak poora paisa nahi diya.
Is shakhs ne hamaari imandari ka ghalat faida uthaya. Jab booking ki thi tab to aise baat ki jaise duniya ka sabse imandar banda ho, magar Umrah ke baad phone uthana band kar diya.
Umrah Ka Karz Ada Karne Se Munh Mod Liya
Umrah ke baad jab bhi hamaare taraf se paise maange gaye, Moinuddin Saifi ne jawab dena band kar diya. Jab kisi aur number se phone kiya gaya to kehne laga:
🗣️ “Galti tumhari hai, tumne udhaar me Umrah kyun karwaya?”
Yeh kaisi soch hai? Ek taraf gareebi ka rona, doosri taraf zyada hi chalaaki. Jab paise chahiye thay tab to imandari ka natak kar raha tha, aur ab keh raha hai ke galti hamari hai jo is par bharosa kiya!
Moinuddin Saifi Ki Dhoke Ki Hakeekat
- Rs. 12,700 me Umrah ki booking ki.
- Bohot zyada yakeen dilaya ke baqi paisa waapas aane ke baad clear karega.
- 17 April 2024 ko Umrah kiya aur uske baad aaj tak ek rupiya nahi diya.
- Phone nahi uthata, kisi aur se phone karwao to kehata hai galti hamaari hai!
Yehi hai aaj kal ki Duniya, Imaandari se faida uthao aur phir zimmedaari se bhaago.
Public Se Appeal – Moinuddin Saifi Ko Yaad Dilayein!
Aap sabse guzarish hai ke Moinuddin Saifi ko call aur message karein aur unhe yaad dilayein ke Umrah ka safar Allah ki raza ke liye hota hai, dhoke ke liye nahi. Yeh paisa hamaara haq hai, aur usse wapas milna chahiye.
📞 Moinuddin Saifi (J-64/A, Abul Fazal, Jamia Nagar, Okhla, Delhi) +91987146797*
Moinuddin Saifi Sahab, agar aap Musalman hain, to apni zimmedaari poori karein!
Aap Allah ke ghar gaye the, waha bhi dhoka diya? Kya aap ne yeh maan liya hai k aap hamesha zinda rehne waale hain?
Allah sab dekh raha hai.
Agar Moinuddin Saifi Sahab is post ko padh rahe hain, to ye unke liye aakhri warning hai. Jitni der karenge, utna badnaam honge. Hamaare paas saboot hain, aur hum ye case aage le jaane ke liye tayar hain.